Sunday, 31 March 2013

किसने दस्तक दी

Kisne dastak di ye dil par kaun hai,
aap to andar hai bahar kaun hai.

Raj jo kuch ho isharo me bata dena,
hath jab usse milana to daba bhi dena.

Kabhi dimag , kabhi dil, kabhi najar me raho
ye sab tumhare hi ghar pe hai kisi bhi ghar me raho.

juba to khol najar to mila jawab to de,
me kitni baar luti hu mujhe hisab to de.

Tere badan ki likhawat me hai utaar chadaw,
me kaise padu mujhe kitaab to de.

Roj taro ki numaaish me khalal padta hai,
rat ko jab ye chand niklta hai.

Uski yaad aai hai saanso jara aahista chlo ,
dhadkno se bhi ibadat me khalal padta hai.

Samndaro ke safar me hawa jaisa chlta hai,
jahaj khud nahi chlte khuda ki rahmat ka banda unhe chalta hai.

Tujhe khabar nahi mele me gumne wale,
teri dukan koi aur chalta hai.

Ye log paaw nahi jahan se apahij hai,
udhar chlaege jidhar rahnuma chalta hai.

Hum apne bude chirago pe khub itraye,
aur usko bhul gaye jo ye hawa chalta hai.

Ye hadasa to ek din gujrane wala tha,
me bach bhi jati to ek roj marne wali thi.

Mera naseeb mera dil ro-ro kar use pukarata raha,
par wo jalim, bedard kaha mere dil ki sunne wala tha..

No comments:

Post a Comment